Nusrat Fateh Ali Khan Mere Rashke Qamar
mere rashk-e-qamar, tu ne pehli nazar,
jab nazar se milayee, mazah aa gaya
barq si gir gayee, kaam hee kar gayee,
aag aisi lagayee, mazah aa gaya
baehijaabana woh saamne aa gaye,
aur jawaani jawaani se takra gayee
aankh unki lari, yun meri aankh se,
dekh kar yeh larayee, mazah aa gaya
aankh mein thi haya, har mulaaqat per,
surkh aarid hue wasl kee baat per
ussne sharma ke mere sawaalat pe,
aisay gardann jhukayee, mazah aa gaya